hatheliyon pe liye apne sar gae hain log
hatheliyoñ pe liye apne sar ga.e haiñ log
safar pe ab ki ba-rang-e-digar ga.e haiñ log
tire sitam kā gila yuuñ bhī kar ga.e haiñ log
ki aur kuchh na chalā bas to mar ga.e haiñ log
diloñ ke tiira gharoñ par tire jamāl kī dhuup
jo aa paḌī hai to kyā kyā sañvar ga.e haiñ log
huā hai yuuñ bhī ki apnī talab ke sahrā meñ
misāl-e-mauja-e-jū-e-safar ga.e haiñ log
baḌhī hai tishna-labī zindagī kī jab had se
to apnī zaat ke sāġhar meñ bhar ga.e haiñ log
diloñ meñ sūrateñ kyā kyā haiñ ḳhauf-e-pinhāñ kī
baḌhā hai apnā hī saaya to Dar ga.e haiñ log
uḌe haiñ rāh-guzāroñ meñ gard-e-jāñ ban ke
safar ke ishq meñ kyā kyā na kar ga.e haiñ log
ufuq gavāh rahe qatl-e-āftāb ke ba.ad
shafaq luTī hai to phir apne ghar ga.e haiñ log
ye sail-e-ḳhvāb thā yā ḳhvāb-e-sail thā kyā thā
ki chaḌh ke sūrat-e-dariyā utar ga.e haiñ log
ab un ke lauT na sakne kā ġham tujhe kyuuñ ho
ki sū-e-dār tire hukm par ga.e haiñ log
na koī saaya na aahaT ye hashr kaisā hai
kahāñ chhupī haiñ sadā.eñ kidhar ga.e haiñ log
sulag uThegā har ik dar havā ke chalte hī
qafas meñ sūrat-e-raqs-e-sharar ga.e haiñ log
maiñ ḳhud gayā to khulā saarā shahr qaid meñ thā
ḳhabar ye thī ki bahut muḳhtasar ga.e haiñ log
kahīñ pe kuchh to huā hai ki aaj zindāñ meñ
ga.e haiñ aur bahut be-ḳhatar ga.e haiñ log
tulū-e-mehr ko ab kaun rok saktā hai
gharoñ meñ ham-rah-e-najm-e-sahar ga.e haiñ log
hatheliyon pe liye apne sar gae hain log
safar pe ab ki ba-rang-e-digar gae hain log
tere sitam ka gila yun bhi kar gae hain log
ki aur kuchh na chala bas to mar gae hain log
dilon ke tera gharon par tere jamal ki dhup
jo aa paDi hai to kya kya sanwar gae hain log
hua hai yun bhi ki apni talab ke sahra mein
misal-e-mauja-e-ju-e-safar gae hain log
baDhi hai tishna-labi zindagi ki jab had se
to apni zat ke saghar mein bhar gae hain log
dilon mein suraten kya kya hain KHauf-e-pinhan ki
baDha hai apna hi saya to Dar gae hain log
uDe hain rah-guzaron mein gard-e-jaan ban ke
safar ke ishq mein kya kya na kar gae hain log
ufuq gawah rahe qatl-e-aftab ke baad
shafaq luTi hai to phir apne ghar gae hain log
ye sail-e-KHwab tha ya KHwab-e-sail tha kya tha
ki chaDh ke surat-e-dariya utar gae hain log
ab un ke lauT na sakne ka gham tujhe kyun ho
ki su-e-dar tere hukm par gae hain log
na koi saya na aahaT ye hashr kaisa hai
kahan chhupi hain sadaen kidhar gae hain log
sulag uThega har ek dar hawa ke chalte hi
qafas mein surat-e-raqs-e-sharar gae hain log
main KHud gaya to khula sara shahr qaid mein tha
KHabar ye thi ki bahut muKHtasar gae hain log
kahin pe kuchh to hua hai ki aaj zindan mein
gae hain aur bahut be-KHatar gae hain log
tulu-e-mehr ko ab kaun rok sakta hai
gharon mein ham-rah-e-najm-e-sahar gae hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.