chain pahlu mein use subh nahin sham nahin
chain pahlū meñ use sub.h nahīñ shaam nahīñ
ek dam bhī dil-e-bīmār ko ārām nahīñ
ruḳh-e-pur-nūr nahīñ zulf-e-siyah-fām nahīñ
vo zamāna nahīñ vo sub.h nahīñ shaam nahīñ
shahroñ shahroñ mirī rusvā.ī kā shohrā pahuñchā
mujh sā duniyā meñ koī āshiq-e-bad-nām nahīñ
chāñd hī tāroñ kī jhurmuT meñ zarā dekh ai dil
gaun meñ shoḳh-e-nasārā kī ye bū taam nahīñ
vā.izo jaa.e jahannam meñ fazā-e-jannat
ḳhaar haiñ gul mirī nazroñ meñ jo gulfām nahīñ
naale kartā huuñ kabhī yā kabhī tadbīr-e-visāl
aur to hijr kī shab meñ mujhe kuchh kaam nahīñ
fasl-e-gul aa.ī to kyā be-sar-o-sāmāñ haiñ ham
shīsha-o-jām nahīñ sāqī-e-gul-fām nahīñ
dil gayā diin gayā jaan ga.ī ulfat meñ
aur āġhāz hī dekhā abhī anjām nahīñ
bose do tiin to le lene dī mujh ko lillāh
kaam ke vaqt na kar o but ḳhud kaam nahīñ
laḳhlaḳha kī 'evaz us zulf kī bū sūghuñgā
hai tap-e-ishq meñ saudā mujhe sarsām nahīñ
naz' meñ dekh ke jiitā huuñ tire koThe ko
lab-e-īsā hai ye ai jaan lab-e-bām nahīñ
'mehr' be-lutf hai bazm-e-sho.arā be-ma.ashūq
bulbuleñ chahchahe meñ haiñ koī gulfām nahīñ
chain pahlu mein use subh nahin sham nahin
ek dam bhi dil-e-bimar ko aaram nahin
ruKH-e-pur-nur nahin zulf-e-siyah-fam nahin
wo zamana nahin wo subh nahin sham nahin
shahron shahron meri ruswai ka shohra pahuncha
mujh sa duniya mein koi aashiq-e-bad-nam nahin
chand hi taron ki jhurmuT mein zara dekh ai dil
gaun mein shoKH-e-nasara ki ye bu tam nahin
waizo jae jahannam mein faza-e-jannat
KHar hain gul meri nazron mein jo gulfam nahin
nale karta hun kabhi ya kabhi tadbir-e-visal
aur to hijr ki shab mein mujhe kuchh kaam nahin
fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum
shisha-o-jam nahin saqi-e-gul-fam nahin
dil gaya din gaya jaan gai ulfat mein
aur aaghaz hi dekha abhi anjam nahin
bose do tin to le lene di mujh ko lillah
kaam ke waqt na kar o but KHud kaam nahin
laKHlaKHa ki 'ewaz us zulf ki bu sughunga
hai tap-e-ishq mein sauda mujhe sarsam nahin
naz' mein dekh ke jita hun tere koThe ko
lab-e-isa hai ye ai jaan lab-e-baam nahin
'mehr' be-lutf hai bazm-e-shoara be-mashuq
bulbulen chahchahe mein hain koi gulfam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.