hausla bhi diya har safar mein sada
hausla bhī diyā har safar meñ sadā
talḳh lahja rahā bas nazar meñ sadā
vaqt jaisā bhī achchhā-burā jo bhī thā
saath us ne diyā har safar meñ sadā
TuuT kar maiñ kabhī jo bikharne lagī
to sahārā diyā har Dagar meñ sadā
un ke chehre se ham kuchh samajh na sake
ġham chhupāte rahe vo jigar meñ sadā
martaba baap kā kyā likheñ 'ā.isha'
dhuup bhī chhāñv hai is shajar meñ sadā
hausla bhi diya har safar mein sada
talKH lahja raha bas nazar mein sada
waqt jaisa bhi achchha-bura jo bhi tha
sath us ne diya har safar mein sada
TuT kar main kabhi jo bikharne lagi
to sahaara diya har Dagar mein sada
un ke chehre se hum kuchh samajh na sake
gham chhupate rahe wo jigar mein sada
martaba bap ka kya likhen 'aisha'
dhup bhi chhanw hai is shajar mein sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.