hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge
hausla diid kā aur tāb-e-nazar dekheñge
husn hī husn ke ham shams-o-qamar dekheñge
dekhnā paḌ ga.ī māyūs añdheroñ kī sahar
sochte the ki umīdoñ kī sahar dekheñge
kyā ajab giit bhī bulbul kā sunā.ī de jaa.e
sehn-e-gulzār meñ ik ik gul-e-tar dekheñge
rū-ba-rū un ke koī baat na ham se hogī
apnī ḳhāmosh nigāhoñ kā asar dekheñge
tū ab aa.e ki na aa.e ye tujhī par chhoḌā
umr bhar ham to tirī rāhguzar dekheñge
ham ne mehnat se lagā.e the suḳhan ke paude
sochte the ki kabhī un kā samar dekheñge
ibtidā hī se hai kesh apnā faqat tark-e-rūsūm
chhoḌ kar dair-o-haram aap kā dar dekheñge
apne ā.īna-e-ġham meñ ġham-e-āfāq liye
ġham-e-hastī ko ba-andāz-e-digar dekheñge
zindagī laa.ī nazar meñ jo havādis 'maġhmūm
dekhnā ham nahīñ chāheñge magar dekheñge
hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge
husn hi husn ke hum shams-o-qamar dekhenge
dekhna paD gai mayus andheron ki sahar
sochte the ki umidon ki sahar dekhenge
kya ajab git bhi bulbul ka sunai de jae
sehn-e-gulzar mein ek ek gul-e-tar dekhenge
ru-ba-ru un ke koi baat na hum se hogi
apni KHamosh nigahon ka asar dekhenge
tu ab aae ki na aae ye tujhi par chhoDa
umr bhar hum to teri rahguzar dekhenge
hum ne mehnat se lagae the suKHan ke paude
sochte the ki kabhi un ka samar dekhenge
ibtida hi se hai kesh apna faqat tark-e-rusum
chhoD kar dair-o-haram aap ka dar dekhenge
apne aaina-e-gham mein gham-e-afaq liye
gham-e-hasti ko ba-andaz-e-digar dekhenge
zindagi lai nazar mein jo hawadis 'maghmum
dekhna hum nahin chahenge magar dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.