hausla dil ka hawadis mein baDha rakkha hai
hausla dil kā havādis meñ baḌhā rakkhā hai
sham.a ko maiñ ne havāoñ meñ jalā rakkhā hai
dekh ai husn-e-ḳhud-ārā mire dil kī vus.at
tere ġham ko ġham-e-daurāñ se judā rakkhā hai
maiñ talātum meñ bhī sāhil kī ḳhabar rakhtā huuñ
maiñ ne har mauj ko sāhil se milā rakkhā hai
ik tire naam se rishta ho bas itnī sī hai baat
varna is sub.ha-o-zunnār meñ kyā rakkhā hai
ab maiñ ik jalva-e-be-rañg kā shaidā.ī huuñ
har charāġh-e-haram-o-dair bujhā rakkhā hai
sarguzisht-e-dil-e-betāb sunā dī lekin
ġham-gusāroñ se tirā naam chhupā rakkhā hai
hausla dil ka hawadis mein baDha rakkha hai
shama ko main ne hawaon mein jala rakkha hai
dekh ai husn-e-KHud-ara mere dil ki wusat
tere gham ko gham-e-dauran se juda rakkha hai
main talatum mein bhi sahil ki KHabar rakhta hun
main ne har mauj ko sahil se mila rakkha hai
ek tere nam se rishta ho bas itni si hai baat
warna is subha-o-zunnar mein kya rakkha hai
ab main ek jalwa-e-be-rang ka shaidai hun
har charagh-e-haram-o-dair bujha rakkha hai
sarguzisht-e-dil-e-betab suna di lekin
gham-gusaron se tera nam chhupa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.