hausla haar gaya zabt ne dam toD diya
hausla haar gayā zabt ne dam toḌ diyā
gir ke ashkoñ ne tabassum kā bharam toḌ diyā
aur phir us ne mohabbat meñ lagā dī sharteñ
zid kī dahlīz pe jazbāt ne dam toḌ diyā
but-shikan maiñ bhī huuñ mujh ko bhī to ġhāzī kahiye
maiñ ne jo dil meñ thā patthar kā sanam toḌ diyā
hausla haar gaya zabt ne dam toD diya
gir ke ashkon ne tabassum ka bharam toD diya
aur phir us ne mohabbat mein laga di sharten
zid ki dahliz pe jazbaat ne dam toD diya
but-shikan main bhi hun mujh ko bhi to ghazi kahiye
main ne jo dil mein tha patthar ka sanam toD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.