hausla imtihan se nikla
hausla imtihān se niklā
jaan kā kaam jaan se niklā
dard-e-dil un ke kaan tak pahuñchā
baat ban kar zabān se niklā
bevafā.ī meñ vo zamīñ vaalā
haath bhar āsmān se niklā
harf-e-matlab faqat kahā na gayā
varna sab kuchh zabān se niklā
kuchh kī kuchh kaun sunñe vaalā thā
kuchh kā kuchh kyuuñ zabān se niklā
ik sitam miT gayā to aur huā
āsmāñ āsmān se niklā
jis se bachtā thā maiñ dam-e-iz.hār
vahī pahlū bayān se niklā
vo bhī armān kyā jo ai 'muztar'
dil meñ rah kar zabān se niklā
hausla imtihan se nikla
jaan ka kaam jaan se nikla
dard-e-dil un ke kan tak pahuncha
baat ban kar zaban se nikla
bewafai mein wo zamin wala
hath bhar aasman se nikla
harf-e-matlab faqat kaha na gaya
warna sab kuchh zaban se nikla
kuchh ki kuchh kaun sunne wala tha
kuchh ka kuchh kyun zaban se nikla
ek sitam miT gaya to aur hua
aasman aasman se nikla
jis se bachta tha main dam-e-izhaar
wahi pahlu bayan se nikla
wo bhi arman kya jo ai 'muztar'
dil mein rah kar zaban se nikla
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 199)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.