hausla itna abhi yar nahin kar pae
hausla itnā abhī yaar nahīñ kar paa.e
ḳhud ko rusvā sar-e-bāzār nahīñ kar paa.e
dil meñ karte rahe duniyā ke safar kā sāmāñ
ghar kī dahlīz magar paar nahīñ kar paa.e
ham kisī aur ke hone kī nafī kyā karte
apne hone pe jab isrār nahīñ kar paa.e
sā.at-e-vasl to qaabū meñ nahīñ thī lekin
hijr kī shab kā bhī dīdār nahīñ kar paa.e
ye to ārā.ish-e-mahfil ke liye thā varna
ilm o dānish kā ham iz.hār nahīñ kar paa.e
hausla itna abhi yar nahin kar pae
KHud ko ruswa sar-e-bazar nahin kar pae
dil mein karte rahe duniya ke safar ka saman
ghar ki dahliz magar par nahin kar pae
hum kisi aur ke hone ki nafi kya karte
apne hone pe jab israr nahin kar pae
saat-e-wasl to qabu mein nahin thi lekin
hijr ki shab ka bhi didar nahin kar pae
ye to aaraish-e-mahfil ke liye tha warna
ilm o danish ka hum izhaar nahin kar pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.