hausla lae kahan se koi diwane ka
hausla laa.e kahāñ se koī dīvāne kā
manzil-e-ġham meñ irāda hai Thahar jaane kā
silsila chhiḌ gayā jab tuur ke afsāne kā
ik bahāna to milā tere qarīb aane kā
ek muddat se ye paiġhām hai dīvāne kā
vaqt hai dār-o-rasan se bhī guzar jaane kā
pursish-e-ġham ko vo aa.e haiñ pashemāñ ho kar
zindagī kā mujhe mauqa hai na mar jaane kā
dushman-e-hosh-o-ḳhirad log kaheñge tujh ko
maiñ to mamnūn huuñ nāseh tire samjhāne kā
aap kī anjuman-e-nāz se aage baḌh kar
ik maqām aur bhī hai dil ke taḌap jaane kā
uñgliyāñ log uThāte haiñ sar-e-rāh-e-hayāt
aap kyuuñ ban ga.e unvāñ mire afsāne kā
nāḳhudā mauj-e-havādis se Darā jaatā hai
aur yahī vaqt hai tūfān se Takrāne kā
kashmakash donoñ jagah dekh rahā huuñ 'shāhid'
ab na ka.abe kā irāda hai na but-ḳhāne kā
hausla lae kahan se koi diwane ka
manzil-e-gham mein irada hai Thahar jaane ka
silsila chhiD gaya jab tur ke afsane ka
ek bahana to mila tere qarib aane ka
ek muddat se ye paigham hai diwane ka
waqt hai dar-o-rasan se bhi guzar jaane ka
pursish-e-gham ko wo aae hain pasheman ho kar
zindagi ka mujhe mauqa hai na mar jaane ka
dushman-e-hosh-o-KHirad log kahenge tujh ko
main to mamnun hun naseh tere samjhane ka
aap ki anjuman-e-naz se aage baDh kar
ek maqam aur bhi hai dil ke taDap jaane ka
ungliyan log uThate hain sar-e-rah-e-hayat
aap kyun ban gae unwan mere afsane ka
naKHuda mauj-e-hawadis se Dara jata hai
aur yahi waqt hai tufan se Takrane ka
kashmakash donon jagah dekh raha hun 'shahid'
ab na kabe ka irada hai na but-KHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.