hausla mujh mein nahin hai baat ka
hausla mujh meñ nahīñ hai baat kā
maiñ ki huuñ maarā huā sadmāt kā
kho ga.ī hai zindagī merī kahāñ
dekh ruḳh aa kar kabhī hālāt kā
lafz aur āvāz donoñ kho ga.e
mujh se haq chhīnā gayā hai baat kā
is taraf aane se pahle soch le
maiñ huuñ baasī vādī-e-zulmāt kā
zāt-e-haq kī ma.arifat ke vāste
hai sabaq pahlā nafī isbāt kā
ab zamāne-bhar ko tū sairāb kar
maiñ nahīñ saa.il tirī ḳhairāt kā
hausla mujh mein nahin hai baat ka
main ki hun mara hua sadmat ka
kho gai hai zindagi meri kahan
dekh ruKH aa kar kabhi haalat ka
lafz aur aawaz donon kho gae
mujh se haq chhina gaya hai baat ka
is taraf aane se pahle soch le
main hun basi wadi-e-zulmat ka
zat-e-haq ki marifat ke waste
hai sabaq pahla nafi isbaat ka
ab zamane-bhar ko tu sairab kar
main nahin sail teri KHairaat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.