hausla shart-e-wafa kya karna
hausla shart-e-vafā kyā karnā
band muTThī meñ havā kyā karnā
jab koī suntā na ho bolnā kyā
qabr meñ shor bapā kyā karnā
qahr hai lutf kī sūrat ābād
apnī āñkhoñ ko bhī vā kyā karnā
dard Thahregā vafā kī manzil
aks shīshe se judā kyā karnā
dil ke zindāñ meñ hai ārām bahut
vus.at-e-dasht-numā kyā karnā
sham-e-kushta kī tarah jī liije
dam ghuTe bhī to gila kyā karnā
mere pīchhe mirā saaya hogā
pīchhe muḌ kar bhī bhalā kyā karnā
kuchh karo yuuñ ki zamāna dekhe
shor galiyoñ meñ sadā kyā karnā
hausla shart-e-wafa kya karna
band muTThi mein hawa kya karna
jab koi sunta na ho bolna kya
qabr mein shor bapa kya karna
qahr hai lutf ki surat aabaad
apni aankhon ko bhi wa kya karna
dard Thahrega wafa ki manzil
aks shishe se juda kya karna
dil ke zindan mein hai aaram bahut
wusat-e-dasht-numa kya karna
sham-e-kushta ki tarah ji lije
dam ghuTe bhi to gila kya karna
mere pichhe mera saya hoga
pichhe muD kar bhi bhala kya karna
kuchh karo yun ki zamana dekhe
shor galiyon mein sada kya karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.