hausle aazmane paDte hain
hausle āzmāne paḌte haiñ
hādse bhuul jaane paḌte haiñ
apnī manzil talak jo jaa.eñ vo
rāste ḳhud banāne paḌte haiñ
baa'd meñ haq kī baat aa.egī
farz pahle nibhāne paḌte haiñ
rābte ḳhatm ho bhī jaa.eñ agar
kuchh ta'alluq nibhāne paḌte haiñ
DhūñDhne se bhī miltī haiñ ḳhushiyāñ
ranj-o-ġham to kamāne paḌte haiñ
hausle aazmane paDte hain
hadse bhul jaane paDte hain
apni manzil talak jo jaen wo
raste KHud banane paDte hain
ba'd mein haq ki baat aaegi
farz pahle nibhane paDte hain
rabte KHatm ho bhi jaen agar
kuchh ta'alluq nibhane paDte hain
DhunDhne se bhi milti hain KHushiyan
ranj-o-gham to kamane paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.