hausle jin ke bhi buland nahin
hausle jin ke bhī buland nahīñ
merī nazroñ meñ arjumand nahīñ
jab se dekhā hai un ko rote hue
tab se bārish mujhe pasand nahīñ
jitnā ham aap ko samajhte the
aap utne to ‘aql-mand nahīñ
hāl-e-dil aap ko sunāte magar
ham abhī itne hosh-mand nahīñ
maiñ sitāroñ ko fat.h kar luuñ magar
merī zambīl meñ kamand nahīñ
yaar ye apnī ḳhush-nasībī hai
dar-e-tauba khulā hai band nahīñ
dard merā samajh sake jo 'asar'
ab koī aisā dard-mand nahīñ
hausle jin ke bhi buland nahin
meri nazron mein arjumand nahin
jab se dekha hai un ko rote hue
tab se barish mujhe pasand nahin
jitna hum aap ko samajhte the
aap utne to ‘aql-mand nahin
haal-e-dil aap ko sunate magar
hum abhi itne hosh-mand nahin
main sitaron ko fath kar lun magar
meri zambil mein kamand nahin
yar ye apni KHush-nasibi hai
dar-e-tauba khula hai band nahin
dard mera samajh sake jo 'asar'
ab koi aisa dard-mand nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.