hausle kyon na dil-e-charKH-e-kuhan ke nikle
hausle kyoñ na dil-e-charḳh-e-kuhan ke nikle
misl-e-yūsuf na phire jo haiñ vatan ke nikle
mar-miTe jo tirī ulfat meñ vo āzād hue
jiite jī bande se vo ranj-o-mehan ke nikle
maiñ to ḳhush ho ke evaz is ke duā.eñ dūñgā
muñh se dushnām jo us ġhuncha-dahan ke nikle
gāliyāñ de ke to kar pyaar se bāteñ ai shoḳh
ham to shaidā tire andāz-e-suḳhan ke nikle
sarfaroshoñ ko ḳhabar do sar-e-maqtal aa.eñ
haath meñ teġh liye aaj vo tan ke nikle
sarv-o-shamshād o sanobar jo khaḌe haiñ lab-e-jū
alam-e-sabz haiñ mātam meñ hasan ke nikle
ghar se ham apne gunāhoñ kī hayā se 'ājiz'
muñh chhupā.e hue ghuñghaT meñ kafan ke nikle
hausle kyon na dil-e-charKH-e-kuhan ke nikle
misl-e-yusuf na phire jo hain watan ke nikle
mar-miTe jo teri ulfat mein wo aazad hue
jite ji bande se wo ranj-o-mehan ke nikle
main to KHush ho ke ewaz is ke duaen dunga
munh se dushnam jo us ghuncha-dahan ke nikle
galiyan de ke to kar pyar se baaten ai shoKH
hum to shaida tere andaz-e-suKHan ke nikle
sarfaroshon ko KHabar do sar-e-maqtal aaen
hath mein tegh liye aaj wo tan ke nikle
sarw-o-shamshad o sanobar jo khaDe hain lab-e-ju
alam-e-sabz hain matam mein hasan ke nikle
ghar se hum apne gunahon ki haya se 'ajiz'
munh chhupae hue ghunghaT mein kafan ke nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.