hausle the kabhi bulandi par
hausle the kabhī bulandī par
ab faqat bebasī bulandī par
ḳhaak meñ mil ga.ī anā sab kī
chaḌh ga.ī thī baḌī bulandī par
phir zamīñ par bikhar ga.ī aa kar
dhuup kuchh pal rahī bulandī par
khil rahī hai tamām ḳhushiyoñ meñ
ik tumhārī kamī bulandī par
ham zamīñ se yahī samajhte the
hai bahut raushnī bulandī par
gir ga.ī haiñ samāj kī qadreñ
chaḌh gayā aadmī bulandī par
zindagī dekh kar huī hairān
aa ga.ī maut bhī bulandī par
mujh se sahrā panāh māñge hai
dekh vahshat merī bulandī par
ham zamīñ par gire bulandī se
ḳhaak uḌ kar ga.ī bulandī par
ek dil par kabhī hukūmat thī
ya.anī maiñ thā kabhī bulandī par
khal rahī hai kuchh ek logoñ ko
merī maujūdgī bulandī par
hai ḳhudā sāmne mere maujūd
aa ga.ī bandagī bulandī par
hausle the kabhi bulandi par
ab faqat bebasi bulandi par
KHak mein mil gai ana sab ki
chaDh gai thi baDi bulandi par
phir zamin par bikhar gai aa kar
dhup kuchh pal rahi bulandi par
khil rahi hai tamam KHushiyon mein
ek tumhaari kami bulandi par
hum zamin se yahi samajhte the
hai bahut raushni bulandi par
gir gai hain samaj ki qadren
chaDh gaya aadmi bulandi par
zindagi dekh kar hui hairan
aa gai maut bhi bulandi par
mujh se sahra panah mange hai
dekh wahshat meri bulandi par
hum zamin par gire bulandi se
KHak uD kar gai bulandi par
ek dil par kabhi hukumat thi
yani main tha kabhi bulandi par
khal rahi hai kuchh ek logon ko
meri maujudgi bulandi par
hai KHuda samne mere maujud
aa gai bandagi bulandi par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.