hauslon ko kabhi targhib-e-tag-o-taz to do
hausloñ ko kabhī tarġhīb-e-tag-o-tāz to do
shauq-e-manzil hai subūt-e-par-e-parvāz to do
apnī har saañs kī gahrā.ī meñ pāoge hameñ
tum se maiñ duur nahīñ huuñ mujhe āvāz to do
koī bhaTkā huā manzil kī tamannā meñ hai
shab-e-ġham kaise guzāre koī āvāz to do
muskurā lene ke lamhoñ ko ġhanīmat jaano
tum ġhazal chheḌo mire haath meñ ik saaz to do
tum pe marte haiñ tumhāre hī liye jiite haiñ
hāsil-e-zīst tum hī ho mujhe āvāz to do
bevafā naam rakho yā ki vafādār kaho
kisī unvāñ se navāzo magar āvāz to do
aaj kyā baat hai phūloñ ko hañsī aa.ī hai
maiñ bhī duuñ saath bahāroñ mujhe āvāz to do
hauslon ko kabhi targhib-e-tag-o-taz to do
shauq-e-manzil hai subut-e-par-e-parwaz to do
apni har sans ki gahrai mein paoge hamein
tum se main dur nahin hun mujhe aawaz to do
koi bhaTka hua manzil ki tamanna mein hai
shab-e-gham kaise guzare koi aawaz to do
muskura lene ke lamhon ko ghanimat jaano
tum ghazal chheDo mere hath mein ek saz to do
tum pe marte hain tumhaare hi liye jite hain
hasil-e-zist tum hi ho mujhe aawaz to do
bewafa nam rakho ya ki wafadar kaho
kisi unwan se nawazo magar aawaz to do
aaj kya baat hai phulon ko hansi aai hai
main bhi dun sath bahaaron mujhe aawaz to do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.