hauslon se bikhar bhi jata hun
hausloñ se bikhar bhī jaatā huuñ
maiñ misāloñ se Dar bhī jaatā huuñ
zindagī kā safar bhī jaarī hai
shaam hote hī ghar bhī jaatā huuñ
ġhaur se dekhtā huuñ duniyā ko
rāstoñ se guzar bhī jaatā huuñ
haañ jahāñ par savāl ugte haiñ
hasb-e-ādat udhar bhī jaatā huuñ
jhuuT ke sach ke darmiyān kabhī
maiñ takalluf se mar bhī jaatā huuñ
hauslon se bikhar bhi jata hun
main misalon se Dar bhi jata hun
zindagi ka safar bhi jari hai
sham hote hi ghar bhi jata hun
ghaur se dekhta hun duniya ko
raston se guzar bhi jata hun
han jahan par sawal ugte hain
hasb-e-adat udhar bhi jata hun
jhuT ke sach ke darmiyan kabhi
main takalluf se mar bhi jata hun
- Book : Taziyana (Pg. 119)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.