hawa aur baadban donon mujhe pyare bahut hain
havā aur bādbāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
mohabbat ke nishāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
parinde aur shajar donoñ tujhe sauñpe haiñ maiñ ne
ḳhudā-e-mehrbāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
mujhe ġhaflat ke sannāTe se le aate haiñ bāhar
ye takbīr-o-azāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
koī zulmat kā dushman hai to koī dhuup meñ dost
charāġh aur sā.ebāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
udhar sūraj chamaktā hai udhar paktī haiñ fasleñ
zamīn-o-āsmāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
suḳhan likhnā sikhāyā hai mujhe donoñ ne 'shaukat'
yaqīñ ho yā gumāñ donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
hawa aur baadban donon mujhe pyare bahut hain
mohabbat ke nishan donon mujhe pyare bahut hain
parinde aur shajar donon tujhe saunpe hain main ne
KHuda-e-mehrban donon mujhe pyare bahut hain
mujhe ghaflat ke sannaTe se le aate hain bahar
ye takbir-o-azan donon mujhe pyare bahut hain
koi zulmat ka dushman hai to koi dhup mein dost
charagh aur saeban donon mujhe pyare bahut hain
udhar suraj chamakta hai udhar pakti hain faslen
zamin-o-asman donon mujhe pyare bahut hain
suKHan likhna sikhaya hai mujhe donon ne 'shaukat'
yaqin ho ya guman donon mujhe pyare bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.