hawa baaton ki jo chalne lagi hai
havā bātoñ kī jo chalne lagī hai
so ik afvāh bhī uḌne lagī hai
ham āvāzoñ se ḳhālī ho rahe haiñ
ḳhalā meñ huuk sī uThne lagī hai
kahāñ rahtā hai ghar koī bhī ḳhālī
in āñkhoñ meñ namī rahne lagī hai
huī bāliġh mirī tanhā.ī āḳhir
kisī kī aarzū karne lagī hai
musalsal raushnī kī bārishoñ se
nazar meñ kaa.ī sī jamne lagī hai
hawa baaton ki jo chalne lagi hai
so ek afwah bhi uDne lagi hai
hum aawazon se KHali ho rahe hain
KHala mein huk si uThne lagi hai
kahan rahta hai ghar koi bhi KHali
in aankhon mein nami rahne lagi hai
hui baaligh meri tanhai aaKHir
kisi ki aarzu karne lagi hai
musalsal raushni ki barishon se
nazar mein kai si jamne lagi hai
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 64)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.