hawa badal gai us bewafa ke hone se
havā badal ga.ī us bevafā ke hone se
vagarna ḳhalq to ḳhush thī ḳhudā ke hone se
ḳhabar nahīñ mujhe matlūb aur kyā hai ki maiñ
ziyāda ḳhush nahīñ arz o samā ke hone se
hamesha bar-sar-e-paikār huuñ kahīñ na kahīñ
mujhe 'ilāqa nahīñ bach-bachā ke hone se
ye sho'la dil se alag ho ke bhī nikal aayā
kuchh aag phail ga.ī hai havā ke hone se
ye shahr kuchh bhī mazāfāt ke baġhair nahīñ
vajūd asl meñ hai māvarā ke hone se
judā.ī chhoḌtī rahtī hai vasl kī ḳhushbū
maiñ zinda rahtā huuñ aksar qazā ke hone se
maiñ purza purza paḌā huuñ jahāñ-tahāñ har samt
ḳhafā sabhī haiñ mire jā-ba-jā ke hone se
zarūrateñ hī mirī ho nahīñ rahīñ puurī
rukā hai qāfila ik be-navā ke hone se
jo rah ga.ī hai ye ek aañch kī kasar to 'zafar'
vo zar-garī thī kisī kīmiyā ke hone se
hawa badal gai us bewafa ke hone se
wagarna KHalq to KHush thi KHuda ke hone se
KHabar nahin mujhe matlub aur kya hai ki main
ziyaada KHush nahin arz o sama ke hone se
hamesha bar-sar-e-paikar hun kahin na kahin
mujhe 'ilaqa nahin bach-bacha ke hone se
ye sho'la dil se alag ho ke bhi nikal aaya
kuchh aag phail gai hai hawa ke hone se
ye shahr kuchh bhi mazafat ke baghair nahin
wajud asl mein hai mawara ke hone se
judai chhoDti rahti hai wasl ki KHushbu
main zinda rahta hun aksar qaza ke hone se
main purza purza paDa hun jahan-tahan har samt
KHafa sabhi hain mere ja-ba-ja ke hone se
zaruraten hi meri ho nahin rahin puri
ruka hai qafila ek be-nawa ke hone se
jo rah gai hai ye ek aanch ki kasar to 'zafar'
wo zar-gari thi kisi kimiya ke hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.