hawa chali hai na patta koi hila ab tak
havā chalī hai na pattā koī hilā ab tak
vahī hai ek ḳhamoshī kā silsila ab tak
vo kaun log haiñ kis kī talāsh meñ gum haiñ
hameñ to apnā pata bhī nahīñ milā ab tak
tū apne chāhne vāloñ se āshnā na huī
yahī to tujh se hai ai ziist ik gilā ab tak
kisī kā dāman-e-sad-chāk kyā rafū karte
ki ham se apnā bhī dāman nahīñ silā ab tak
vahī safar vahī taare vahī thakan baaqī
vahī hai bujhte charāġhoñ kā silsila ab tak
purānī baat maiñ kal kī samajh ke bhuul gayā
magar hai zaḳhm tamannā-e-dil khulā ab tak
jise maiñ DhūñD rahā huuñ galī galī 'anjum'
vo shaḳhs mujh se bichhaḌ kar nahīñ milā ab tak
hawa chali hai na patta koi hila ab tak
wahi hai ek KHamoshi ka silsila ab tak
wo kaun log hain kis ki talash mein gum hain
hamein to apna pata bhi nahin mila ab tak
tu apne chahne walon se aashna na hui
yahi to tujh se hai ai zist ek gila ab tak
kisi ka daman-e-sad-chaak kya rafu karte
ki hum se apna bhi daman nahin sila ab tak
wahi safar wahi tare wahi thakan baqi
wahi hai bujhte charaghon ka silsila ab tak
purani baat main kal ki samajh ke bhul gaya
magar hai zaKHm tamanna-e-dil khula ab tak
jise main DhunD raha hun gali gali 'anjum'
wo shaKHs mujh se bichhaD kar nahin mila ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.