hawa chali hai ye kaisi KHilaf chaaron taraf
havā chalī hai ye kaisī ḳhilāf chāroñ taraf
hai ek silsila-e-inhirāf chāroñ taraf
haqīqatoñ kī bhī pahchān ab huī dushvār
ḳhazaf ḳhazaf haiñ sadaf ke ḳhilāf chāroñ taraf
isī tarah hai abhī bātinoñ meñ sannāTā
hai apnī zaat kā go inkishāf chāroñ taraf
tū sang-e-mīl kī sūrat hai nasb ek jagah
maiñ gard-e-rāh huuñ merā tavāf chāroñ taraf
hai chehra chehra vahī zaḳhm-e-rā.egāñ-hunarī
bikhar ga.e haiñ qalam ke shigāf chāroñ taraf
haiñ raushnā.ī-o-qirtās-o-kilk bhī kyā kuchh
mile varaq-ba-varaq iḳhtilāf chāroñ taraf
tū ḳhud se kaT ke zarā dūsroñ meñ jiinā siikh
kareñge log tirā e'tirāf chāroñ taraf
rahūñ hisār-e-badan meñ ki shahr-e-jāñ ko chalūñ
vahī tavāf vahī etakāf chāroñ taraf
'fazā' muravvaja bahroñ meñ jiddatoñ kā ye shauq
izāfe simTe to phaile zihāf chāroñ taraf
hawa chali hai ye kaisi KHilaf chaaron taraf
hai ek silsila-e-inhiraf chaaron taraf
haqiqaton ki bhi pahchan ab hui dushwar
KHazaf KHazaf hain sadaf ke KHilaf chaaron taraf
isi tarah hai abhi baatinon mein sannaTa
hai apni zat ka go inkishaf chaaron taraf
tu sang-e-mil ki surat hai nasb ek jagah
main gard-e-rah hun mera tawaf chaaron taraf
hai chehra chehra wahi zaKHm-e-raegan-hunari
bikhar gae hain qalam ke shigaf chaaron taraf
hain raushnai-o-qirtas-o-kilk bhi kya kuchh
mile waraq-ba-waraq iKHtilaf chaaron taraf
tu KHud se kaT ke zara dusron mein jina sikh
karenge log tera e'tiraf chaaron taraf
rahun hisar-e-badan mein ki shahr-e-jaan ko chalun
wahi tawaf wahi etakaf chaaron taraf
'faza' murawwaja bahron mein jiddaton ka ye shauq
izafe simTe to phaile zihaf chaaron taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.