hawa chali nangi ujyali
havā chalī nañgī ujyālī
taa.ir ugte Daalī Daalī
ek varaq jaisī tanhā.ī
niilī sabzak kaalī kaalī
maiñ vaalī sākit har ban kā
mujh meñ sākit qadmoñ vaalī
jale jalā.ī samtoñ ke tan
tāroñ kī bujhtī rakhvālī
ā.ankhoñ meñ nā-bīnā taktī
rātoñ ne bīnā.ī paalī
asp-e-siyah aur chaTyal maidāñ
jaltā ek shajar ab ḳhālī
hawa chali nangi ujyali
tair ugte Dali Dali
ek waraq jaisi tanhai
nili sabzak kali kali
main wali sakit har ban ka
mujh mein sakit qadmon wali
jale jalai samton ke tan
taron ki bujhti rakhwali
aaankhon mein na-bina takti
raaton ne binai pali
asp-e-siyah aur chaTyal maidan
jalta ek shajar ab KHali
- Book : Pakistani Adab (Pg. 578)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.