hawa chali to bahut der tak ruki hi nahin
havā chalī to bahut der tak rukī hī nahīñ
tumhārī yaad ki jaise kabhī thamī hī nahīñ
samā.atoñ meñ mirī gūñjtī rahī har dam
vo ek baat jo us ne kabhī kahī hī nahīñ
na jaane kis liye us kā hī intizār rahā
vo ek shaḳhs ki jis se kabhī milī hī nahīñ
havā ne jab bhī uḌāyā ga.ī falak kī taraf
ajiib ḳhaak thī jo ḳhaak meñ milī hī nahīñ
kabhī lagā ki bahut tez-rau rahe lamhe
kabhī lagā ka.ī sadiyoñ se maiñ chalī hī nahīñ
kalī bhī dil meñ mohabbat kī ik hañsī thī magar
kabhī vo bāġh-e-tamannā meñ to khilī hī nahīñ
maiñ ik safīr huuñ 'raziya' gudāz lahjoñ kī
ḳhafā kisī se kabhī der tak rahī hī nahīñ
hawa chali to bahut der tak ruki hi nahin
tumhaari yaad ki jaise kabhi thami hi nahin
samaaton mein meri gunjti rahi har dam
wo ek baat jo us ne kabhi kahi hi nahin
na jaane kis liye us ka hi intizar raha
wo ek shaKHs ki jis se kabhi mili hi nahin
hawa ne jab bhi uDaya gai falak ki taraf
ajib KHak thi jo KHak mein mili hi nahin
kabhi laga ki bahut tez-rau rahe lamhe
kabhi laga kai sadiyon se main chali hi nahin
kali bhi dil mein mohabbat ki ek hansi thi magar
kabhi wo bagh-e-tamanna mein to khili hi nahin
main ek safir hun 'raziya' gudaz lahjon ki
KHafa kisi se kabhi der tak rahi hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.