hawa chali to shagufon ne apne lab khole
havā chalī to shagūfoñ ne apne lab khole
na jaane tū hī magar dil kī baat kab khole
abhī to aur bhī aage yahāñ se jaanā thā
yahīñ pe ham ne bhī asbāb be-sabab khole
phir is pe band koī bāñdhne se kyā hāsil
nadī kī raah tirī roz jo talab khole
unheñ to bāñdh ke rakkhā thā dil ne lekin jab
tamām ghaas hī dekhī to asp sab khole
qabā to apnī sadā ḳhud vo Dhīlī rakhtā hai
gunāh kyā hai havā kā vo band jab khole
hawa chali to shagufon ne apne lab khole
na jaane tu hi magar dil ki baat kab khole
abhi to aur bhi aage yahan se jaana tha
yahin pe hum ne bhi asbab be-sabab khole
phir is pe band koi bandhne se kya hasil
nadi ki rah teri roz jo talab khole
unhen to bandh ke rakkha tha dil ne lekin jab
tamam ghas hi dekhi to asp sab khole
qaba to apni sada KHud wo Dhili rakhta hai
gunah kya hai hawa ka wo band jab khole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.