hawa-e-dasht-e-ana chali hai to sab pareshan ho rahe hain
hawa-e-dasht-e-ana chali hai to sab pareshan ho rahe hain
Saghar Mashhadi
MORE BYSaghar Mashhadi
havā-e-dasht-e-anā chalī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
ġhubār sī ziist uḌ rahī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
dhueñ ke bādal fazā meñ laane se peshtar bhī ye sochnā thā
nazar nazar meñ jo ab namī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
kahā thā ham ne ki kisht-e-jāñ meñ na sānahe kāsht karnā logo
azaab ab zindagī banī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
baḌhe jo tīra-shabī ke saa.e to shahr meñ hashr kā samāñ thā
koī jo qindīl uTh rahī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
vahī jo pahle gila-ba-lab the nagar meñ shor-e-havā ke lekin
zarā jo ab ke havā thamī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
falak kī insān-dushmanī kā kisī ko bhī ġham nahīñ hai 'sāġhar'
zamīn bhī aag ugal rahī hai to sab pareshān ho rahe haiñ
hawa-e-dasht-e-ana chali hai to sab pareshan ho rahe hain
ghubar si zist uD rahi hai to sab pareshan ho rahe hain
dhuen ke baadal faza mein lane se peshtar bhi ye sochna tha
nazar nazar mein jo ab nami hai to sab pareshan ho rahe hain
kaha tha hum ne ki kisht-e-jaan mein na sanahe kasht karna logo
azab ab zindagi bani hai to sab pareshan ho rahe hain
baDhe jo tira-shabi ke sae to shahr mein hashr ka saman tha
koi jo qindil uTh rahi hai to sab pareshan ho rahe hain
wahi jo pahle gila-ba-lab the nagar mein shor-e-hawa ke lekin
zara jo ab ke hawa thami hai to sab pareshan ho rahe hain
falak ki insan-dushmani ka kisi ko bhi gham nahin hai 'saghar'
zamin bhi aag ugal rahi hai to sab pareshan ho rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.