hawa-e-gham hai magar aas-e-mojiza rakh ke
havā-e-ġham hai magar ās-e-mo'jiza rakh ke
nikal paḌe haiñ hathelī pe dil-diyā rakh ke
ḳhayāl tak meñ na aane diyā thakānoñ ko
tumhārī raah pe nikle to dil baḌā rakh ke
hazār dasht sar-e-rah-guzar paḌeñ to paḌeñ
ki ham bhī aa.e haiñ dariyā kā hausla rakh ke
haqīqatan na sahī vāhimāt hī meñ sahī
sukūñ milā hai bahut tujh ko ham-navā rakh ke
ḳhushī kā haq hai tujhe chhoḌ yuuñ udaas na rah
ham aise sard-mizājoñ se vāsta rakh ke
hawa-e-gham hai magar aas-e-mo'jiza rakh ke
nikal paDe hain hatheli pe dil-diya rakh ke
KHayal tak mein na aane diya thakanon ko
tumhaari rah pe nikle to dil baDa rakh ke
hazar dasht sar-e-rah-guzar paDen to paDen
ki hum bhi aae hain dariya ka hausla rakh ke
haqiqatan na sahi wahimat hi mein sahi
sukun mila hai bahut tujh ko ham-nawa rakh ke
KHushi ka haq hai tujhe chhoD yun udas na rah
hum aise sard-mizajon se wasta rakh ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.