Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawa-e-mast ne kanon mein kuchh kaha hai kya

Zakia Ghazal

hawa-e-mast ne kanon mein kuchh kaha hai kya

Zakia Ghazal

MORE BYZakia Ghazal

    havā-e-mast ne kānoñ meñ kuchh kahā hai kyā

    tire ḳhayāl ne dil ko mere chhuā hai kyā

    ye kaisī raushnī dahlīz tak chalī aa.ī

    nayā charāġh koī raah meñ jalā hai kyā

    ye kyā huā hai mujhe chain kyoñ nahīñ aatā

    kisī aañkh se aañsū kahīñ girā hai kyā

    talab ho sach to nahīñ duur manzil-e-jānāñ

    baġhair ishq koī mo.ajiza huā hai kyā

    akelā-pan hai khaTaktā hai shor yādoñ

    kabhī kabhī to lage yaad bhī sazā hai kyā

    vafā ke baab meñ tarmīm ho rahī hai 'ġhazal'

    hamāre baad koī faisla huā hai kyā

    hawa-e-mast ne kanon mein kuchh kaha hai kya

    tere KHayal ne dil ko mere chhua hai kya

    ye kaisi raushni dahliz tak chali aai

    naya charagh koi rah mein jala hai kya

    ye kya hua hai mujhe chain kyon nahin aata

    kisi ki aankh se aansu kahin gira hai kya

    talab ho sach to nahin dur manzil-e-jaanan

    baghair ishq koi moajiza hua hai kya

    akela-pan hai khaTakta hai shor yaadon ka

    kabhi kabhi to lage yaad bhi saza hai kya

    wafa ke bab mein tarmim ho rahi hai 'ghazal'

    hamare baad koi faisla hua hai kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now