hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai
havā-e-shām na jaane kahāñ se aatī hai
vahāñ gulāb bahut haiñ jahāñ se aatī hai
ye kis kā chehra damaktā hai merī āñkhoñ meñ
ye kis kī yaad mujhe kahkashāñ se aatī hai
isī falak se utartā hai ye añdherā bhī
ye raushnī bhī isī āsmāñ se aatī hai
ye kis ne ḳhaak uḌā dī hai lāla-zāroñ meñ
zamīñ pe aisī tabāhī kahāñ se aatī hai
sadā-e-girya jise ek maiñ hī suntā huuñ
hujūm-e-shahr tire darmiyāñ se aatī hai
hawa-e-sham na jaane kahan se aati hai
wahan gulab bahut hain jahan se aati hai
ye kis ka chehra damakta hai meri aankhon mein
ye kis ki yaad mujhe kahkashan se aati hai
isi falak se utarta hai ye andhera bhi
ye raushni bhi isi aasman se aati hai
ye kis ne KHak uDa di hai lala-zaron mein
zamin pe aisi tabahi kahan se aati hai
sada-e-girya jise ek main hi sunta hun
hujum-e-shahr tere darmiyan se aati hai
- Book : Rang hava main phel raha hai (Pg. 197)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.