hawa-e-sham zara sa qayam hoga na
havā-e-shām zarā sā qayām hogā nā
charāġh-e-jāñ ko jalā.ūñ kalām hogā nā
bas ek baat hī pūchhī bichhaḌne vaale ne
kabhī kahīñ pe mile to salām hogā nā
ruḳh-e-jamāl pe shikneñ hī jab sajī hoñgī
to phir hamārā ravayya bhī ḳhaam hogā nā
tirī bahisht meñ hūr-o-qusūr hoñge magar
qarār-e-jāñ kā bhī kuchh intizām hogā nā
kabhī-kabhār hī lekin pukārte haiñ tujhe
hamārā chāhne vāloñ meñ naam hogā nā
agar maiñ ādhā-adhūrā hī lauT aa.uuñ to
nigāh-e-nāz vahī ehtimām hogā nā
bas ek baar mohabbat se dekhnā hai idhar
batāo tum se ye chhoTā sā kaam hogā nā
charāġh jalte raheñ yā ki raakh ho jaa.eñ
tumhāre ātishīñ-ruḳh ko davām hogā nā
hawa-e-sham zara sa qayam hoga na
charagh-e-jaan ko jalaun kalam hoga na
bas ek baat hi puchhi bichhaDne wale ne
kabhi kahin pe mile to salam hoga na
ruKH-e-jamal pe shiknen hi jab saji hongi
to phir hamara rawayya bhi KHam hoga na
teri bahisht mein hur-o-qusur honge magar
qarar-e-jaan ka bhi kuchh intizam hoga na
kabhi-kabhaar hi lekin pukarte hain tujhe
hamara chahne walon mein nam hoga na
agar main aadha-adhura hi lauT aaun to
nigah-e-naz wahi ehtimam hoga na
bas ek bar mohabbat se dekhna hai idhar
batao tum se ye chhoTa sa kaam hoga na
charagh jalte rahen ya ki rakh ho jaen
tumhaare aatishin-ruKH ko dawam hoga na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.