hawa-e-tez ke aage kahan rahega koi
havā-e-tez ke aage kahāñ rahegā koī
diye pe vaqt sadā mehrbāñ rahegā koī
ai dost ham bhī zamīñ par dhueñ kī sūrat haiñ
fazā meñ kitnā dhuāñ hai dhuāñ rahegā koī
ajiib naqsh banā.e haiñ vahshat-e-dil ne
magar ye ret hai is par nishāñ rahegā koī
makān-e-dil kī sabhī raunaqeñ makīnoñ se
makīn hī na rahe to makāñ rahegā koī
surāġh lā.egī kitne na.e jahānoñ kā
ye āgahī kā safar rā.egāñ rahegā koī
jo dil kī jhiil hī jazboñ se ho ga.ī ḳhālī
to apnī aañkh meñ āb-e-ravāñ rahegā koī
ham apne saath hī le jā.eñge jahāñ apnā
hamāre ba.ad to yūñhī jahāñ rahegā koī
hawa-e-tez ke aage kahan rahega koi
diye pe waqt sada mehrban rahega koi
ai dost hum bhi zamin par dhuen ki surat hain
faza mein kitna dhuan hai dhuan rahega koi
ajib naqsh banae hain wahshat-e-dil ne
magar ye ret hai is par nishan rahega koi
makan-e-dil ki sabhi raunaqen makinon se
makin hi na rahe to makan rahega koi
suragh laegi kitne nae jahanon ka
ye aagahi ka safar raegan rahega koi
jo dil ki jhil hi jazbon se ho gai KHali
to apni aankh mein aab-e-rawan rahega koi
hum apne sath hi le jaenge jahan apna
hamare baad to yunhi jahan rahega koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.