hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta
havā-e-vādi-e-dushvār se nahīñ ruktā
musāfir ab tire inkār se nahīñ ruktā
safīna chal jo paḌā hai chaḌhāo par to kabhī
muḳhālif aatī huī dhaar se nahīñ ruktā
mirā ḳhayāl hai tadbīr koī aur hī kar
hujūm ab tirī talvār se nahīñ ruktā
Thaharnā chāhe to Thahre gā aap hī varna
hamārī koshish-e-bisyār se nahīñ ruktā
ab is ke saath hī bah jā.iye ki ye sailāb
ḳhas-o-ḳhumār ke ambār se nahīñ ruktā
ravāñ jo hai safar-e-manzil-e-sadā har-chand
ye qāfila mire me.aar se nahīñ ruktā
ye aise log haiñ aadat paḌī huī hai jinheñ
ye maal sardī-e-bāzār se nahīñ ruktā
musāfirat meñ jo haare na hausla raahī
to lutf-e-sāya-e-ashjār se nahīñ ruktā
hamārā ishq ravāñ hai rukāvaToñ meñ 'zafar'
ye ḳhvāb hai kisī dīvār se nahīñ ruktā
hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta
musafir ab tere inkar se nahin rukta
safina chal jo paDa hai chaDhao par to kabhi
muKHalif aati hui dhaar se nahin rukta
mera KHayal hai tadbir koi aur hi kar
hujum ab teri talwar se nahin rukta
Thaharna chahe to Thahre ga aap hi warna
hamari koshish-e-bisyar se nahin rukta
ab is ke sath hi bah jaiye ki ye sailab
KHas-o-KHumar ke ambar se nahin rukta
rawan jo hai safar-e-manzil-e-sada har-chand
ye qafila mere mear se nahin rukta
ye aise log hain aadat paDi hui hai jinhen
ye mal sardi-e-bazar se nahin rukta
musafirat mein jo haare na hausla rahi
to lutf-e-saya-e-ashjar se nahin rukta
hamara ishq rawan hai rukawaTon mein 'zafar'
ye KHwab hai kisi diwar se nahin rukta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.