hawa-e-zulm ki shab bhar sana-KHwani bhi hoti hai
havā-e-zulm kī shab bhar sanā-ḳhvānī bhī hotī hai
magar din meñ charāġhoñ ko pashemānī bhī hotī hai
faqat āñkhoñ ke jhukne par sukūñ kī saañs mat lenā
mire dast-e-talab sharminda peshānī bhī hotī hai
jo patthar kī tarah chup hai tire tarz-e-takallum par
use afsos bhī hotā hai hairānī bhī hotī hai
musāhib aur munsif to ba-zāhir zulm karte haiñ
pas-e-parda razā-e-zill-e-sub.hānī bhī hotī hai
bhalā lagtā hai dil kī baat jab jab khul ke kī jaa.e
magar is meñ sharīfoñ ko pareshānī bhī hotī hai
añdheroñ se huā karte haiñ kuchh dar-parda samjhaute
charāġhoñ ke liye phir marsiya-ḳhvānī bhī hotī hai
suno 'tāriq' ham us ehsās-e-nā-guftan ke maare haiñ
jahāñ aajiz ye lafzoñ kī farāvānī bhī hotī hai
hawa-e-zulm ki shab bhar sana-KHwani bhi hoti hai
magar din mein charaghon ko pashemani bhi hoti hai
faqat aankhon ke jhukne par sukun ki sans mat lena
mere dast-e-talab sharminda peshani bhi hoti hai
jo patthar ki tarah chup hai tere tarz-e-takallum par
use afsos bhi hota hai hairani bhi hoti hai
musahib aur munsif to ba-zahir zulm karte hain
pas-e-parda raza-e-zill-e-subhani bhi hoti hai
bhala lagta hai dil ki baat jab jab khul ke ki jae
magar is mein sharifon ko pareshani bhi hoti hai
andheron se hua karte hain kuchh dar-parda samjhaute
charaghon ke liye phir marsiya-KHwani bhi hoti hai
suno 'tariq' hum us ehsas-e-na-guftan ke mare hain
jahan aajiz ye lafzon ki farawani bhi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.