hawa ka hukm bhi ab ke nazar mein rakkha jae
havā kā hukm bhī ab ke nazar meñ rakkhā jaa.e
kisī bhī ruḳh pe darīcha na ghar meñ rakkhā jaa.e
ye kā.enāt abhī tak mire tavāf meñ hai
ajab nahīñ ise yūñhī safar meñ rakkhā jaa.e
maiñ sañg-e-sāda huuñ lekin mirī ye hasrat hai
makān dost ke dīvār-o-dar meñ rakkhā jaa.e
ye jal-bujhegā isī zo.am-e-āgahī ke sabab
diye ko aur na bāb-e-ḳhabar meñ rakkhā jaa.e
nasha uḌaan kā aise utarne vaalā nahīñ
kuchh aur vazn mire bāl-o-par meñ rakkhā jaa.e
koī kahīñ na kahīñ ik kamī sī hai mujh meñ
mujhe dobāra gul-e-kūza-gar meñ rakkhā jaa.e
vo ā.īna hai to hairat kisī jamāl kī ho
jo sañg hai to kahīñ rahguzar meñ rakkhā jaa.e
vo chāhtā hai ki 'tāriq'-na.īm tujh ko bhī
tamām umr usī ke asar meñ rakkhā jaa.e
hawa ka hukm bhi ab ke nazar mein rakkha jae
kisi bhi ruKH pe daricha na ghar mein rakkha jae
ye kaenat abhi tak mere tawaf mein hai
ajab nahin ise yunhi safar mein rakkha jae
main sang-e-sada hun lekin meri ye hasrat hai
makan dost ke diwar-o-dar mein rakkha jae
ye jal-bujhega isi zoam-e-agahi ke sabab
diye ko aur na bab-e-KHabar mein rakkha jae
nasha uDan ka aise utarne wala nahin
kuchh aur wazn mere baal-o-par mein rakkha jae
koi kahin na kahin ek kami si hai mujh mein
mujhe dobara gul-e-kuza-gar mein rakkha jae
wo aaina hai to hairat kisi jamal ki ho
jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkha jae
wo chahta hai ki 'tariq'-naim tujh ko bhi
tamam umr usi ke asar mein rakkha jae
- Book : ruki huii shamon kii raahdaariyaz (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.