hawa ka kibr yahan KHak mein mila kar ke
havā kā kibr yahāñ ḳhaak meñ milā kar ke
charāġh-e-ishq jalā hai lahū jalā kar ke
kiyā hai ḳhatm tafakkur kā silsila maiñ ne
har ek naqsh tirī yaad ke miTā kar ke
ye kis ke bojh ne behāl kar diyā mujh ko
shagufta phuul mirī qabr par chaḌhā kar ke
tire ġhamoñ kī harārat se tar-ba-tar ho kar
sharāb pī rahā huuñ talḳhiyāñ milā kar ke
khaḌā hai sāmne mere ḳhulūs kā paikar
maiñ ḳhush bahut huuñ use zindagī meñ pā kar ke
hawa ka kibr yahan KHak mein mila kar ke
charagh-e-ishq jala hai lahu jala kar ke
kiya hai KHatm tafakkur ka silsila main ne
har ek naqsh teri yaad ke miTa kar ke
ye kis ke bojh ne behaal kar diya mujh ko
shagufta phul meri qabr par chaDha kar ke
tere ghamon ki hararat se tar-ba-tar ho kar
sharab pi raha hun talKHiyan mila kar ke
khaDa hai samne mere KHulus ka paikar
main KHush bahut hun use zindagi mein pa kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.