hawa ka ruKH badalne se parinda ho gaya ghussa
havā kā ruḳh badalne se parinda ho gayā ġhussa
yahāñ har dūsre kirdār kā hai mas.ala ġhussa
maiñ aksar mirch sālan meñ ziyāda Daal detī huuñ
kisī sūrat to zāhir ho mirī ranjish mirā ġhussa
chalo ab maan bhī lo tum tumheñ zehnī masā.il haiñ
zarā sī baat pe karte ho tum achchhā-bhalā ġhussa
mirī har DaañT par bachche javāban muskurāte haiñ
bas ik muskān se uḌ jaatā hai ban kar havā ġhussa
tirī ḳhafgī ke saare zā.iqoñ kā 'ilm hai mujh ko
kabhī hai niim sā kaḌvā kabhī hai chaTpaTā ġhussa
zamāne merī man-mānī pe kyoñ āñkheñ dikhātā hai
bahut dekhe tire jaise tavangar chal haTā ġhussa
hawa ka ruKH badalne se parinda ho gaya ghussa
yahan har dusre kirdar ka hai masala ghussa
main aksar mirch salan mein ziyaada Dal deti hun
kisi surat to zahir ho meri ranjish mera ghussa
chalo ab man bhi lo tum tumhein zehni masail hain
zara si baat pe karte ho tum achchha-bhala ghussa
meri har DanT par bachche jawaban muskuraate hain
bas ek muskan se uD jata hai ban kar hawa ghussa
teri KHafgi ke sare zaiqon ka 'ilm hai mujh ko
kabhi hai nim sa kaDwa kabhi hai chaTpaTa ghussa
zamane meri man-mani pe kyon aankhen dikhata hai
bahut dekhe tere jaise tawangar chal haTa ghussa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.