diye ka ruKH badalta ja raha hai
diye kā ruḳh badaltā jā rahā hai
havā ke saath jaltā jā rahā hai
tumhāre hijr kī is aañch meñ ab
hamārā dil pighaltā jā rahā hai
taḌap uTThī hai merī ruuh phir se
badan se tū nikaltā jā rahā hai
nikālo ab mire ghar se hī mujh ko
ye sannāTā nigaltā jā rahā hai
qafas meñ qaid ik panchhī ke jaise
mirā kirdār Dhaltā jā rahā hai
hamārā hijr bhī ab mas.ala ban
zamāne meñ uchhaltā jā rahā hai
use ehsās hai kyā 'mīt' vo ab
mire armāñ kuchaltā jā rahā hai
diye ka ruKH badalta ja raha hai
hawa ke sath jalta ja raha hai
tumhaare hijr ki is aanch mein ab
hamara dil pighalta ja raha hai
taDap uTThi hai meri ruh phir se
badan se tu nikalta ja raha hai
nikalo ab mere ghar se hi mujh ko
ye sannaTa nigalta ja raha hai
qafas mein qaid ek panchhi ke jaise
mera kirdar Dhalta ja raha hai
hamara hijr bhi ab masala ban
zamane mein uchhalta ja raha hai
use ehsas hai kya 'mit' wo ab
mere arman kuchalta ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.