hawa ka shor to aaj aur bhi ziyaada hai
havā kā shor to aaj aur bhī ziyāda hai
charāġhāñ aañkh meñ kar lo agar irāda hai
maiñ rahguzar meñ kahīñ par bikhar hī jā.ūñgā
ye merī ruuh pe miTTī kā ik labāda hai
bahut dinoñ kī masāfat ke ba.ad mujh pe khulā
ki chal rahā huuñ meñ.... jis par ujaaḌ jaada hai
ye terā zarf nahīñ tañg-o-tār ghāTī nahīñ
ye mere dil kā hai rasta bhī aur kushāda hai
use to kuchh nahīñ ma.alūm duniyā-dārī kā
mizāj kā tirā 'ahmad' bhī kitnā saada hai
hawa ka shor to aaj aur bhi ziyaada hai
charaghan aankh mein kar lo agar irada hai
main rahguzar mein kahin par bikhar hi jaunga
ye meri ruh pe miTTi ka ek labaada hai
bahut dinon ki masafat ke baad mujh pe khula
ki chal raha hun mein jis par ujaD jada hai
ye tera zarf nahin tang-o-tar ghaTi nahin
ye mere dil ka hai rasta bhi aur kushada hai
use to kuchh nahin malum duniya-dari ka
mizaj ka tera 'ahmad' bhi kitna sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.