hawa ka zor hi kafi bahana hota hai
havā kā zor hī kaafī bahāna hotā hai
agar charāġh kisī ko jalānā hotā hai
zabānī da.ave bahut log karte rahte haiñ
junūñ ke kaam ko kar ke dikhānā hotā hai
hamāre shahr meñ ye kaun ajnabī aayā
ki roz ḳhvāb safar pe ravāna hotā hai
ki tū bhī yaad nahīñ aatā ye to honā thā
ga.e dinoñ ko sabhī ko bhulānā hotā hai
isī umiid pe ham aaj tak bhaTakte haiñ
har ek shaḳhs kā koī Thikāna hotā hai
hameñ ik aur bharī bazm yaad aatī hai
kisī kī bazm meñ jab muskurānā hotā hai
hawa ka zor hi kafi bahana hota hai
agar charagh kisi ko jalana hota hai
zabani dawe bahut log karte rahte hain
junun ke kaam ko kar ke dikhana hota hai
hamare shahr mein ye kaun ajnabi aaya
ki roz KHwab safar pe rawana hota hai
ki tu bhi yaad nahin aata ye to hona tha
gae dinon ko sabhi ko bhulana hota hai
isi umid pe hum aaj tak bhaTakte hain
har ek shaKHs ka koi Thikana hota hai
hamein ek aur bhari bazm yaad aati hai
kisi ki bazm mein jab muskurana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.