hawa ke chalte hi baadal ka saf ho jaana
havā ke chalte hī bādal kā saaf ho jaanā
jo habs TūTnā bārish ḳhilāf ho jaanā
mire ḳhamīr kī dahqāniyat jatātā hai
ye tum se mil ke mirā shiin qaaf ho jaanā
ġhurūr-e-husn se koī umiid mat karnā
ḳhatā.eñ karnā to ḳhud hī muaaf ho jaanā
maiñ tez dhuup meñ jal kar bhī yaad kartā huuñ
vo sard raat meñ us kā lihāf ho jaanā
mujh aise shaḳhs ko raushan-zamīr kar degā
vo be-qarār hai ye inkishāf ho jaanā
hawa ke chalte hi baadal ka saf ho jaana
jo habs TuTna barish KHilaf ho jaana
mere KHamir ki dahqaniyat jatata hai
ye tum se mil ke mera shin qaf ho jaana
ghurur-e-husn se koi umid mat karna
KHataen karna to KHud hi muaf ho jaana
main tez dhup mein jal kar bhi yaad karta hun
wo sard raat mein us ka lihaf ho jaana
mujh aise shaKHs ko raushan-zamir kar dega
wo be-qarar hai ye inkishaf ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.