hawa ke dosh pe kis gul-badan ki KHushbu hai
hawa ke dosh pe kis gul-badan ki KHushbu hai
Satish Shukla Raqeeb
MORE BYSatish Shukla Raqeeb
havā ke dosh pe kis gul-badan kī ḳhushbū hai
gumān hotā hai saare chaman kī ḳhushbū hai
qarīb pā ke tujhe jhūmtā hai man merā
jo tere tan kī hai vo mere man kī ḳhushbū hai
balā kī shoḳh hai sūraj kī ek ek kiran
payām-e-zindagī har ik kiran kī ḳhushbū hai
gale milī kabhī urdu jahāñ pe hindī se
mire mizāj meñ us anjuman kī ḳhushbū hai
ajiib sehr hai ai dost tere āñchal meñ
baḌī anokhī tire pairahan kī ḳhushbū hai
vatan se aayā hai ye ḳhat 'raqīb' mere naam
har ek lafz meñ gañg-o-jaman kī ḳhushbū hai
hawa ke dosh pe kis gul-badan ki KHushbu hai
guman hota hai sare chaman ki KHushbu hai
qarib pa ke tujhe jhumta hai man mera
jo tere tan ki hai wo mere man ki KHushbu hai
bala ki shoKH hai suraj ki ek ek kiran
payam-e-zindagi har ek kiran ki KHushbu hai
gale mili kabhi urdu jahan pe hindi se
mere mizaj mein us anjuman ki KHushbu hai
ajib sehr hai ai dost tere aanchal mein
baDi anokhi tere pairahan ki KHushbu hai
watan se aaya hai ye KHat 'raqib' mere nam
har ek lafz mein gang-o-jaman ki KHushbu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.