hawa ke hath mein patthar daba kar bhej deta hai
hawa ke hath mein patthar daba kar bhej deta hai
Abdur Rahim Nashtar
MORE BYAbdur Rahim Nashtar
havā ke haath meñ patthar dabā kar bhej detā hai
mirā in.aam vo mujh ko barābar bhej detā hai
nazar aatā hai merā haath har taḳhrīb meñ us ko
koī tohmat kahīñ uTThe mire sar bhej detā hai
mujhe bhī ab kisī ta.amīr kā saudā nahīñ hotā
use bhī zid hai barbādī ke manzar bhej detā hai
khilaunoñ se bahal jaatā huuñ ye mālūm hai us ko
tabhī to vo na.ī uftād aksar bhej detā hai
hawa ke hath mein patthar daba kar bhej deta hai
mera inam wo mujh ko barabar bhej deta hai
nazar aata hai mera hath har taKHrib mein us ko
koi tohmat kahin uTThe mere sar bhej deta hai
mujhe bhi ab kisi tamir ka sauda nahin hota
use bhi zid hai barbaadi ke manzar bhej deta hai
khilaunon se bahal jata hun ye malum hai us ko
tabhi to wo nai uftad aksar bhej deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.