hawa ke jhonke jo aaen to un se kuchh na kaho
hawa ke jhonke jo aaen to un se kuchh na kaho
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
havā ke jhoñke jo aa.eñ to un se kuchh na kaho
jo aag ḳhud hī lagā.ī hai us meñ jalte raho
ye dil kā dard to sāthī tamām 'umr kā hai
ḳhushī kā ek bhī lamha mile to us se milo
hamesha sach hī nahīñ boltā hai ā.īna
ḳhud apne aap se har lahza 'umr mat pūchho
yahāñ to kuchh bhī nahīñ juz ḳhalā-e-be-pāyāñ
hamārī āñkhoñ kī gahrā.iyoñ meñ mat jhāñko
khulā hai aur na khulegā kisī kā darvāza
to aao kūcha-e-jānāñ ko shab-ba-ḳhair kaho
hawa ke jhonke jo aaen to un se kuchh na kaho
jo aag KHud hi lagai hai us mein jalte raho
ye dil ka dard to sathi tamam 'umr ka hai
KHushi ka ek bhi lamha mile to us se milo
hamesha sach hi nahin bolta hai aaina
KHud apne aap se har lahza 'umr mat puchho
yahan to kuchh bhi nahin juz KHala-e-be-payan
hamari aankhon ki gahraiyon mein mat jhanko
khula hai aur na khulega kisi ka darwaza
to aao kucha-e-jaanan ko shab-ba-KHair kaho
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 31)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.