hawa ke jhonke sar-e-sham dil dukhane lage
havā ke jhoñke sar-e-shām dil dukhāne lage
tumhāre hoñToñ ke jab phuul yaad aane lage
hamāre naam tumhārā lifāfa kyā aayā
hamāre ghar ke dar-o-bām muskurāne lage
tumhārā naam jo aayā kabhī sar-e-mahfil
bahut udaas the ham phir bhī muskurāne lage
the saath saath to duniyā salām kartī thī
hue haiñ tanhā to ā.īne bhī satāne lage
vo ab na aa.egā āñkheñ sameT lo apnī
'rehāna' dekho parinde gharoñ ko jaane lage
hawa ke jhonke sar-e-sham dil dukhane lage
tumhaare honTon ke jab phul yaad aane lage
hamare nam tumhaara lifafa kya aaya
hamare ghar ke dar-o-baam muskurane lage
tumhaara nam jo aaya kabhi sar-e-mahfil
bahut udas the hum phir bhi muskurane lage
the sath sath to duniya salam karti thi
hue hain tanha to aaine bhi satane lage
wo ab na aaega aankhen sameT lo apni
'rehana' dekho parinde gharon ko jaane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.