hawa ke madd-e-muqabil raha kisi ke liye
havā ke madd-e-muqābil rahā kisī ke liye
maiñ vo diyā huuñ jo shab bhar jalā kisī ke liye
hamāre vāste koī duā kare na kare
hamāre paas nahīñ bad-duā kisī ke liye
havā ke ḳhauf se mat baiTh ghup añdhere meñ
jalā.e jā tū diye par diyā kisī ke liye
bachā ke sham.a-e-dil-o-jāñ maiñ kis liye rakhtā
maiñ jal gayā sar-e-rāh-e-vafā kisī ke liye
na jaane aap kā mīzān-e-adl kaisā hai
kisī ko hukm-e-rihā.ī sazā kisī ke liye
bahut bahāne the bujhne ke vāste 'kausar'
magar maiñ ḳhud ko jalātā rahā kisī ke liye
hawa ke madd-e-muqabil raha kisi ke liye
main wo diya hun jo shab bhar jala kisi ke liye
hamare waste koi dua kare na kare
hamare pas nahin bad-dua kisi ke liye
hawa ke KHauf se mat baiTh ghup andhere mein
jalae ja tu diye par diya kisi ke liye
bacha ke shama-e-dil-o-jaan main kis liye rakhta
main jal gaya sar-e-rah-e-wafa kisi ke liye
na jaane aap ka mizan-e-adl kaisa hai
kisi ko hukm-e-rihai saza kisi ke liye
bahut bahane the bujhne ke waste 'kausar'
magar main KHud ko jalata raha kisi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.