hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua
havā ke rañg meñ duniyā pe āshkār huā
maiñ qaid-e-jism se niklā to be-kanār huā
sitāre TuuT ke tārīkiyāñ bikher ga.e
ye hadisā bhī safar meñ hazār baar huā
bulandiyoñ pe thā mahv-e-safar huā kī tarah
libās-e-ḳhāk jo pahnā to ḳhāksār huā
lahūluhān huā bahr-o-bar kā har manzar
jo merī raah meñ aayā mirā shikār huā
tamām shahr ne mujrim mujhī ko gardānā
tamām shahr meñ ik maiñ hī sañgsār huā
hawa ke rang mein duniya pe aashkar hua
main qaid-e-jism se nikla to be-kanar hua
sitare TuT ke tarikiyan bikher gae
ye hadisa bhi safar mein hazar bar hua
bulandiyon pe tha mahw-e-safar hua ki tarah
libas-e-KHak jo pahna to KHaksar hua
lahuluhan hua bahr-o-bar ka har manzar
jo meri rah mein aaya mera shikar hua
tamam shahr ne mujrim mujhi ko gardana
tamam shahr mein ek main hi sangsar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.