hawa ke ruKH pe rah-e-etibar mein rakkha
havā ke ruḳh pe rah-e-e'tibār meñ rakkhā
bas ik charāġh kū-e-intizār meñ rakkhā
ajab tilism-e-taġhāful thā jis ne der talak
mirī anā ko bhī kunj-e-ḳhumār meñ rakkhā
uḌā diye ḳhas-o-ḳhāshāk-e-ārzū sar-e-rāh
bas ek dil ko tire iḳhtiyār meñ rakkhā
na jaane kaun ghaḌī thī ki apne hāthoñ se
uThā ke shīsha-e-jāñ is ġhubār meñ rakkhā
ye kis ne misl-e-mah-o-mahr apnī apnī jagah
visāl o hijr ko un ke madār meñ rakkhā
lahū meñ Doltī tanhā.ī kī tarah 'ḳhāvar'
tirā ḳhayāl dil-e-be-qarār meñ rakkhā
hawa ke ruKH pe rah-e-e'tibar mein rakkha
bas ek charagh ku-e-intizar mein rakkha
ajab tilism-e-taghaful tha jis ne der talak
meri ana ko bhi kunj-e-KHumar mein rakkha
uDa diye KHas-o-KHashak-e-arzu sar-e-rah
bas ek dil ko tere iKHtiyar mein rakkha
na jaane kaun ghaDi thi ki apne hathon se
uTha ke shisha-e-jaan is ghubar mein rakkha
ye kis ne misl-e-mah-o-mahr apni apni jagah
visal o hijr ko un ke madar mein rakkha
lahu mein Dolti tanhai ki tarah 'KHawar'
tera KHayal dil-e-be-qarar mein rakkha
- Book : Sehmaahi Aamad (Pg. 141)
- Author : Azeema Firdausi
- Publication : Arzoo Manzil, Sheesh Mahal Colony, Alamganj, Patna (Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013)
- Edition : Volume:2, Issue:5, Oct. Dec 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.