hawa ke sath chalna bhi zaruri
havā ke saath chalnā bhī zarūrī
havā kā ruḳh badalnā bhī zarūrī
miTā degā hisār-e-ḳhud-farebī
hameñ is se nikalnā bhī zarūrī
rah-e-ġham ko agar rakhnā hai raushan
misāl-e-sham.a jalnā bhī zarūrī
ba-qadr-e-zarf har nashsha hai behtar
ki girte kā sañbhalnā bhī zarūrī
salīb-o-dār haq-goī kā rasta
usī raste pe chalnā bhī zarūrī
rivāyat kā taqaddus bhī na TuuTe
na.e sāñchoñ meñ Dhalnā bhī zarūrī
jamī hai barf jo murda-dilī kī
'sahar' us kā pighalnā bhī zarūrī
hawa ke sath chalna bhi zaruri
hawa ka ruKH badalna bhi zaruri
miTa dega hisar-e-KHud-farebi
hamein is se nikalna bhi zaruri
rah-e-gham ko agar rakhna hai raushan
misal-e-shama jalna bhi zaruri
ba-qadr-e-zarf har nashsha hai behtar
ki girte ka sanbhalna bhi zaruri
salib-o-dar haq-goi ka rasta
usi raste pe chalna bhi zaruri
riwayat ka taqaddus bhi na TuTe
nae sanchon mein Dhalna bhi zaruri
jami hai barf jo murda-dili ki
'sahar' us ka pighalna bhi zaruri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.