hawa ke sath zamin ka sukut TuTa hai
havā ke saath zamīñ kā sukūt TuuTā hai
kisī kī haañ se nahīñ kā sukūt TuuTā hai
vo jab gayā to ḳhudā kā ḳhayāl aane lagā
sukūt-e-dil se jabīñ kā sukūt TuuTā hai
hamārī call kī ghanTī kā mo.ajiza dekho
ki sang hote hasīñ kā sukūt TuuTā hai
kisī ke ashk kī shiddat-navāz dhaḌkan se
zamīñ pe arsh-e-barīñ kā sukūt TuuTā hai
maiñ sochtā huuñ ki kachchā ghaḌā bhī pakkā thā
isī liye to yaqīñ kā sukūt TuuTā hai
hawa ke sath zamin ka sukut TuTa hai
kisi ki han se nahin ka sukut TuTa hai
wo jab gaya to KHuda ka KHayal aane laga
sukut-e-dil se jabin ka sukut TuTa hai
hamari call ki ghanTi ka moajiza dekho
ki sang hote hasin ka sukut TuTa hai
kisi ke ashk ki shiddat-nawaz dhaDkan se
zamin pe arsh-e-barin ka sukut TuTa hai
main sochta hun ki kachcha ghaDa bhi pakka tha
isi liye to yaqin ka sukut TuTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.