hawa ke waste kholin thin khiDkiyan ghar ki
havā ke vāste kholīñ thiiñ khiḌkiyāñ ghar kī
magar ye kyā ki chalī aa.ī ḳhaak bāhar kī
ḳhalā meñ ghūrte rahnā hī achchhā lagtā hai
nahīñ hai aañkh ko ḳhvāhish kisī bhī manzar kī
kināre ḳhushk laboñ kī tarah chaTaḳhte haiñ
har ek mauj hī pyāsī hai kyā samandar kī
yahāñ se logoñ pe pathrāv be-ma’ānī hai
hifāzat aap se hogī na kāñch ke ghar kī
zamīn dekh ke chaltā huuñ is tarah 'kāvish'
ki jaise qadmoñ tale se zamīn ab sarkī
hawa ke waste kholin thin khiDkiyan ghar ki
magar ye kya ki chali aai KHak bahar ki
KHala mein ghurte rahna hi achchha lagta hai
nahin hai aankh ko KHwahish kisi bhi manzar ki
kinare KHushk labon ki tarah chaTaKHte hain
har ek mauj hi pyasi hai kya samandar ki
yahan se logon pe pathraw be-ma’ani hai
hifazat aap se hogi na kanch ke ghar ki
zamin dekh ke chalta hun is tarah 'kawish'
ki jaise qadmon tale se zamin ab sarki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.